RISE FOR INDIA
Culture

Shishe Ki Gudiya: A Monologue On Girl Child Abuse

Child abuse in India has been on a rise in India.  The demographic distribution of population in India reflects that there is a majority of population that lies under the category of children and adolescents. Crime against young adolescent boys and girls has brought to the surface the ugly face of society. Every year, thousands of young girls are victims of sexual abuse in various parts of India. Some are forced into prostitution, some are molested when they work as domestic help, and some are abused inside the four walls of their homes.

This dramatic monologue is a way of communicating to the society, the brutality and horrific nature of such crime against children and adolescents. It is high time; we turn our homes, the society and our nation into a safe haven for every girl, every woman, and every child.

Kayi roz pehle suna tha maine ki bazaar ki sabse badi aur alishaan dukaan main milti hai ek “Shishe ki Gudiya”

Shehar ke har kone main ziqr tha uski khoobsurati aur masoomiyat ka.

Log kehte the ki bananwale ne badi narmi aur mohabbat se tarsha tha uss “Shishe ki Gudiya” ko.

Bagh main jaise phelti hai Gulaab ki khushboo waise hi phaili thi iss Gudiya ki khoobsurati ki khabar shehar main. Shehar bhar main charcha tha iss “Shishe ki Gudiya” ka, dur dur se aaye the log isse dekhne. Ek junoon sa chaa raha tha shehar main…

Jab mainein sunni uss “Shishe ki Gudiya” ke husn ki tareef toh main bhi naa ruk paayi do pal. Josh se bhare kadm bhadhaye mainein uss alishaan dukaan ki tarf. Parr jab main pahunchi uss dukaan pay, toh ek ajeeb se khayal nein mujhe jakad liya –

Kyun bund thi woh Gudiya ek alishaan dabbe ke andar? Kya yeh dabba hi iss Gudiya ki duniya thi?”

Soch mai doobi kuch der main chup-chap dukaan ke bahar khadi uss Gudiya ko dekhti rahi –

Haye! Kitni khoobsurat thi woh….aankhein!

Uss bezuban Gudiya ki aankhein apni gehraiyon main naa jaane kitni kahaaniyan chupaye huye thi….

Uske labon pay theri hui thi ek bheeni si muskurahat

Uske chehri ki kashish main jhalak rahi thi uski masoomiyat…

Kya kahin iss khoobsurati main dhakki thi koi dard bhari yaad?”

Khayalon ke girafat main jakdi jab main wahan khadi thi, tabhi mainein uss “Shishe ki Gudiya” ke upar ek parchaayi padte hue dekhi. Unn haathon ki parchayi main jaise dhundhla pad raha tha uss “Shishe ki Gudiya” ka wajood. Mera haath pair kuch thande se padne lage thein ab….

Ek zor si awaaz uthi, jaise cheenkh rahi thi woh “Shishe ki Gudiya”…..

Naa jaane kab uss zalim ke haathon se chutkar gir padi thi woh nazuk si “Shishe ki Gudiya” zameen par. Main chup chap woh khaufnaak manzar dekh rahi thi.

Haye! Kitni behrehmi se chakna choor hogaya tha uska sangemarar jaisa jism zameen ko chute hi. Abhi chand lamhe pehle hi toh woh misaal thi  khoobsurati aur masoomiyat ki, par ab sirf ek bikhra hua pinjar tha zameen par.”

Meri aankhein ek-tak uss “Shishe ki Gudiya” ke bikhre hue jism ko dekh rahi thi. Meri ruk kaanp uthi thi iss manzar ko dekh kar.

Uss alishaan dukaan ki zameen par bikhre hue uss “Shishe ki Gudiya” ke tukde abhi bhi jagmaga rahe the, uski aankhon ki chamak abhi bhi bhuji naa thi, woh abhi bhi roshan thi…

Naa jaane kyun, par aisa lag raha tha ki, uss zalim nein uss “Shishe ki Gudiya”ke wajood aur jism ke bhale hi kayi tukde kar diye thein, par abhi bhi uski  tim-timati aankhein bahut kuch keh rahi thi.

Woh zalim uss Gudiya ki masoomiyat ko tat tar kar chukka tha, par woh naa chu payaa tha uski pak ruh ko.

Aaj bhi woh aankhein chamk rahi hai aur zinda hone ki guwahi de rahi thi…”

Related posts

THE CURIOUS CASE OF THE KASHMIRI PANDIT RETURN

Rise For India

When the capital itself starts losing secularism, how can people hold on to their faith?

Rise For India

Yes, I Am A Feminist. And No, All Men Are Not Dogs..

Rise For India

Leave a Comment