RISE FOR INDIA
Society

Jazbat – Ek Mitti ka Khilona : The horrors of divorce in India

This monologue has been written to bring to the surface the horrors of a woman who has been abandoned or divorced by her husband. Ever year in India the newspapers are filled with cases of divorce. Women in India since time immemorial have been facing extreme uncertainties in their life for no fault of theirs. In this monologue I have tried to bring to light the horrors a woman faces no matter what socio-economic background she comes from when she is either thrown out of her marital home due to various nonsensical reasons such as – inability to get ample amount of dowry, give birth to a male child etc. Till date our society looks at divorce and abandonment as a result of the shortcoming of a woman rather than other reasons.

Through this monologue I wish to bring each man and woman close to the horrific experience a woman goes through when her husband or partner plans to walk out of marriage. It is high time our society takes steps to strengthen the position of a woman in this nation of ours.

Aaj shaam jab main din bhar ki thakaan leke ghar laut rahi thi toh meri nazar AUTO se utarte waqt ek toote hue mitti ke khilone pe jaa ruki

Mai kuch der wahi khadi reh gayee, uss masoom ko dekhti reh gayee.

Aur phir Auto-waale ne zor se HORN bajaya ; mujhe yeh ehsaas hua ki mai jahan khadi thi woh sirf raasta tha aur manzil abhi door thi. Aur phir jab maine apni manzil ke taraf qadam badaye to ek soch ne ek sawaal ne mere dil ko mere khayal ko achanak se gher liya. Sawaal yoon tha –

Ki kis bereham ne akhir uss masoom khilone se uska wajood cheen kar, uski manzil se juda kar, usse raaste main yoon berehami se laa patka hai?

Khair! Ye to insaan ki fitrat hai. Wo insaan jo kisi ke jazbaat ko raundne se pehle ek dafa bhi nahi sochta. Wo kaise iss masoom ke wajood ki hifazat kar pata.

Har saal Diwali pe har ghar main bade pyaar se, josh aur kharosh se yeh mitti ke khilone gharon ki diwaron pe saja diye jaate hain. Par yeh dastaan-e-mohabbat na ji paat hai char pal.

Raaste bhar uss mitti ke khilone ne mere khayalon ko apne saath uljhaye rakha  par jaise hi mainein apne ghar ki dahleez langi woh khayal mere andar kahi chupke se jaakar, chup ke baith gaya. Aur phir jab raat aayee, aur meri tanhaiyon ne mujhe gher liya to uss mitti ke khilone ne mera daaman phir ek baar thaam liya.

Khidki pe udte huye, parde pe peeche se jhakti huyi ye chandini raat mere dil ko dehla rahi hai. Mera dil yeh soch ke kaanp uthta hai ki wo masoom jo abhi chand lamhe pehle hi insaan ki bewafai ke ghinaune chehre se ru-ba-ru huya hai kya bilibila ke apne khuda se ye shikwa na kar raha hoga –

Aakhir kya kami reh gayee mujhme, banana wale ne to mujhe bahut mohabbat aur qareene se banaya tha, sawarne main bhi koi qasar na chodi thi,

Phir kyun uss bereham ne mere wajood ko itni asani se taar taar kar diya?”

Apni be lagaam dhadkano ko kuch qaabu kar ke maine karvat badly aur apne khuda se ye sawaal kiya –

Hai! Wo masoom khilona, kya yeh samjh payega kabhi?

Kya aaj ki raat ya aane wali kai andheri raaton main uss kude ke dher main pade pade uss masoom ko iss tarah apne wahan pahunch jaane ka sabab kabhi maloom ho payega?

Kya uska masoom dil insaan ki fitrat ke chichlepan se wakif ho payega?”

Hai! Wo nadaan kya yeh kabhi samjh payega ki jis bereham ke ghar ki kabhi woh zeenat hua karta tha; uss bedard ke liye kisi doosre khilaune ki ek chamak kaafi thi iss masoom ke wajood ko khaak karne ke liye.”

Uss raat maine kai dafa karvat badle par zehan ke goshe main uss mazloom ka khayaal bana hi raha. Main pareshaan aur halakaan bistar pe uth baithi.

Kya uss khilaune ko yeh ehsaas hai ki ab woh taah umr aise hi tanha rahega?

Kya woh yeh baat jaanta hai ki ab uski tanhai ko baatne koi naa aayega?

Uski zindagi ke har rang ko ek be-parvah insaan apni bewafai ki chadar main samet kar le jaa chukka tha?

Magar siskiyon ke saath hi sahi saans abhi baqi hai,

Rang jo udd gaye to kya?

Satrangi aasman abhi baaqi hai!

Shab hai gehri yeh bahut

“Sehar” pe aitbaar abhi baaqi hai

Related posts

Here’s Why I Sometimes Feel Like Killing My Parents For What They Do To Me.

Rise For India

“The Man Tore My Clothes And Pushed Himself Inside Of Me.” And Then All She Became Was A Damaged Good!

Rise For India

They Teased A 16 Year Girl And Her Reply Sent Them To Hospital. This is What Fighting Back Means!

Rise For India

Leave a Comment